Friday 9 March 2012

♥♥ POETRY♥♥


Cute Myspace Generators
     
♥♥Akele chor jate ho,Ye Tum acha nhi krte
Hmara dil jlate ho,Ye Tum acha nhi krte♥♥

♥♥kaha b tha Muhabbat hy,Muhabbat hi isay rakho
Tamasha jo banate ho,Ye tum acha nhi krte♥♥

♥♥Uthate ho Sar e Mehfil falak tk Tum Hmein lekin
Utha kr jo girate ho ye,Tum acha nhi krte♥♥

♥♥koi jo poch le Tum se k rishta kya hy ab Un se
To Nazron ko jhukate hoye Tum acha nhi krte♥♥

♥♥Bikher jain andheron main sahara Tum hi dete ho......magar phir choor jate han ye tum accha nahin karte♥♥

                                                      
                                                                            ♥♥BY♥♥NAVEED_ALI_TANHA♥♥

♥♥TANHA POETRY♥♥


Cute Myspace Generators
♥♥Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain♥♥

♥♥Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain♥♥

♥♥Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain♥♥

♥♥Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain♥♥

♥♥Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain♥♥

♥♥Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain♥♥

♥♥Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain♥♥

♥♥Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain♥♥

♥♥Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain♥♥


                                                             ♥♥BY ♥♥ NAVEED_ALI_TANHA♥♥








Wednesday, December 29, 2010


Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey


Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
es dil kay hathon bohat majboor rahey

2 comments:

Ashutosh said...
ab kya kahen.......
anyways lines are mindbubling...
thanx for such lines.
HeartsMaker Poetry said...
Awsome Lines dear

Popular Posts

  • Wo Kehti hai Suno Jana Muhbbat Moom Ka Ghar Hai Tabish Bad Gumani Ki Kahin Pighla Na De Ais ko Main Kehta Hoon Jis Dil Main Zara B Badguma...
  • Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been K...
  • Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain, Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain, Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi, Log Bars...
  • Koi tumse pooche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi. Ek dost hai kaccha pakka sa, Ek jhooth hai aadha saccha sa. Zazbaat ko d...
  • Kal Halki Halki Barish thi, Kal Sard Hawa ka Ruqs Bhi Tha. Kal Phool bhi Nikhray Nikhray Thay, Kal Un Me Aap Ka Aks bhi Tha, Kal Bada...
  • ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hm ny  ek shakhs ko chaha tha apno ki tarha hm ny  ek shakhs ko samja tha phoolon ki tarha hm ny  wo...
  • Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay ...
  • Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne Paa...
  • Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya,  Jabse Maine Tujhko Apna Bana Liya,  Chand Taaron Mein Nazar Aye Chehra Tera,  Jab Se Mere Dil Pe Hua...
  • la phir ik baar wohi bada-o-jaam ay saqi haath aa jaye mujhe mera maqaam ay saqi teen so saal se hein hind ke maikhane bund ab munasib...






    Thursday, March 8, 2012


    main tu us waqt se darta hoon k koi poch na le


    main tu us waqt se darta hoon k koi poch na le
    ye agar zabt ka aanso tha tu tapka kaise…!!

    Loog Loog Hote Hein


    Loog Loog Hote Hein
    Roshni Ki Khuwahish Main
    Yahan Sadaein Laane Ki
    Kuch Saza To Milti Hai
    Loog Loog Hote Hen



    Loog Loog Hote Hein

    In Ko Kya Khabar Jana Ap K Eradoon Ki
    Khub'suraat Ankhoon Main
    Bas'ne Waloon Khuwaboon K
    Rang Kaisay Hote Hein
    Loog Loog Hote Hein


    Dil Ki Goud Ankhoon Main Pal'ne Walay Khuwaboon K
    Zakhaam Kaisay Hote Hein
    Kitne Geh'ray Hote Hein
    Kab Yeh Soch Sakhte Hein
    Ayesee Bai'Ghu'naa Ankhen
    Ghar K Konay'Khud'ray Main Laag Kar
    Kitna Roote Hen
    Phir B Yeh Apne Jaisay Kisi
    Ghaam'Zada Dil Say Lag K Rooone Lagte Hein
    Loog Loog Hote Hein


    Toh'matein To Lagti Hain
    Roshni Ki Khuwahish Mein

    Toh'matoon K Lagne Say
    Dil Say Dost Hoo Jaana
    Ab Nee'Dhaal Kya Karna
    Tohmatoon Say Kya Darna..!

    Bhoolta Kon Hai


    Bhoolta Kon Hai.......!

    Bhoolta Kon Hai.......! Waqt K Gha'oo Ko

    Hijar K Tand'o'Tufan Ki Bai'yaqeen Laher Main
    Wasaal K Khuwab Ki Dob'tee Naa'oo Ko
    Bhoolta Kon Hai.......!

    Bhoolta Kon Hai.......!

    Apne Qateel K Qateel'Kha'Doo'Khaal Ko
    Dukh Utha'te Dinoon Or Maa'hoo'Saal Ko
    Bhoolta Kon Hai.......!


    Bhoolta Kon Hai.......!

    Omeer Ki Shaak Par Kheel'nee Wali Us Aa'wale Shaam Ko
    Hum Pee Bai'Sabab Jo Laga Hai''Us Elzaam Ko
    Bhoolta Kon Hai.......!

    Phir Tere Naam Ko
    Bhoolta Kon Hai.......!

    Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain Dekhna


    Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain
    Dekhna
    Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hy
    Sochna
    Apne aqeedo’N aur yaqeeno’N se nikal kar sochna bhi jurm hy
    “Kyun” bhi kehna jurm hy
    “kese” bhi kehna jurm hy
    Sans lene ke to aazadi muyassar hy……..magar
    Zianda rehny k liay insaan ko…….kuch “aur” bhi darkaar hy
    Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hy
    Aey hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat
    Aey khuda vandaan-e-eewan-e-aqaid
    Zindagi ke naam par, bas ik inayat chahiay
    Mujh ko in sary jarayam ke ijazat chahiay

    Dard kuch dair hi rehta hai buhat dair nahi


    Dard kuch dair hi rehta hai buhat dair nahi
    Jis tarah shaakh se toray huay aik pattay ka rang
    Mand par jata hai kuch roz alag shaakh se reh kar
    Shaakh se toot ker yeh dard jeeye ga kab tak…?
    Khatam ho jaye gi jab is ki rasad…
    Timtimaye ga zara dair ko bujhtay bujhtay…
    Aur phir lambi si aik sans dhuan ki le kar…
    Khatam ho jaye ga,yeh dard bhi bujh jaye ga
    Dard kuch dair hi rehta hai,buhat dair nahi

    meri ankhon main ummad aaya hai darya dil ka

    meri ankhon main ummad aaya hai darya dil ka
    phir kahin toot gaya ho na kinara dil ka

    bus muhabbat se riwayat hai kahani dil ki
    char harfon se ibarat hai fasana dil ka

    us ne dali hi nahin bheek nazar ke aur main
    liye ankhon main kharra reh gaya kaasa dil ka

    saans rukti hai tau phir jaan ka khayal aata hai
    dil dharakta hai tau lag jata hai dharhka dil ka

    issi koshish main buhat umar ganwa di main ne
    phir bhi poora na huwa mujh se khasaara dil ka

    meri payaab tamanna’in batati hain mujhay
    sookh jaye ga koi roz main darya dil ka

    badli badli si sada deti hai dharkan dil ki
    hijr main aur hi ho jata hai lehja dil ka

    kiyun na aye dost abhi tark-e muhabbat kar lain
    iss se pehlay ke badal jaye iraada dil ka

    fikr-e-dunya main mere dil ko bhulanay walay
    teri dunya se ziada hai asaasa dil ka

    us ki ankhon ne kaha chupke se, khul ja sum sum
    khul gaya ain ussi waqt dareecha dil ka

    ishq katay ga abhi aur chatanain "sagar"
    aqal dekhi gi abhi aur tamasha dil ka

    Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe

    Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe
    us ki khwaahish thi kabhi mujkho bikharte dekhe

    wo saleeqay se huwa mujh se gureyzan warna
    log to saaf mohabbat se mukarte dekhe

    tum ney dekha hey nikalta huwa sooraj logo
    tum ne kuch khwaab suhaanay nahi marte dekhe

    waqt hota hey har ik zakhm ka marham shayed
    phir bhi kuch zakhm thay aesey jo na bhartay dekhe

    aek sehmey huwey sahil ki tarha aankhon ne
    kitne charhtey huwey toofan utarte dekhe

    Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai


    Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai
    Ishiq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Dewar Hai

    Phir Faraib'bay'Roz'o'Shab Ki Dosti Mumkin Nahi
    Kar Diya Inkar So Inkar Hai !Inkar Hai

    Itna Khush Hona Nahi Acha Ab Us K Qarb Main
    Hijar Bhi In Vesaal K Lamhoo Ka His'say'dar Hai

    Is Taraf To Rastoon Main Dhool See Urr'nay Lage
    Ab To Jaa K Daikhna Hai Jo Samandar Par Hai

    Phir Hawa'ayee'Sehar Mujh SaY Mun'harif Honay Lagi
    Phir Mere Hintoon Pe Tere Naam Ki Takrar Hai

    Ab Kahan Cho'yee'gi Us K Dil Ko Sach Ki Roshni
    Jis K Hathoon Main Abhi Taak Jhoot Ki Talwaar Hai..!

    jawan hai raat saqiyaaa sharaab laa sharaab laa

    jawan hai raat saqiyaaa sharaab laa sharaab laa
    zaraa sii pyaas to bujhaa sharaab laa sharaab laa

    tere shabaab par sadaa karam rahe bahaar kaa
    tujhe lage merii duaa sharaab laa sharaab laa

    yahaaN koii na jii sakaa na jii sakegaa hosh maiN
    mita de naam hosh kaa sharaab laa sharaab laa

    tera badaa hii shukriyaa pilaaye jaa pilaaye jaa
    na zikr kar hisaab kaa sharaab laa sharaab laa

    tujhe qasam hai saaqiyaa sharaab laa sharaab de

    tujhe qasam hai saaqiyaa sharaab laa sharaab de
    uThaa subuu nazar milaa sharaab laa sharaab de

    har ek aisa jaam ho ke jis pe teraa naam ho
    tu apane naam kii pilaa sharaab laa sharaab de

    na dil maiN koii Ghum rahe na merii aaNkh nam rahe
    har ek dard ko miTaa sharaab laa sharaab de

    bahut haseen raat hai tera haseen saath hai
    nashay maiN kuch nashaa milaa sharaab laa sharaab de

    suroor hai Khumaar hai bahaar hii bahaar hai
    magar zara ai dil_ruba sharaab laa sharaab de

    Be-bassi


    Be-bassi

    meray dil k nehaan khanon main kitney lafz..
    chilatey huwey, yuN ba’in kertay haiN..
    keh meray her taraf cheekho’n ka
    wehshatnaak shorish.. phail jata hai, satata hai..
    magar jab siskiyaaN letay huwey yeh lafz maiN..
    kaghaz ki aghosh-e-meherbaaN meiN
    chupaanay k liye, tarteeb deti hoon..
    achanak ye sabhi alfaaz yu’n chup sadh letay hain,
    k goya boltey na hon..
    meiN khaali warq pe nazrein jamaaey
    qarb ki gehri andheri khamoshi ko..
    apnay ander yun chupaati hooN..
    k jesay koi apnay zakhm ko un se chuhpata hai
    jo ussay pyar kertay hain!
    magar is aik koshish say, na dil ka dard jata hai
    na koi hal nikalta hey
    bus ik wehshat ka saaya hai
    jo har suu phail jata hai

    Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi

    Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi…
    Wo dikhati thi mujhe bijli ke taaron pe latakti hui boondein.
    Jo taqub me thi ek dusre ke..
    Aur ek dusre ko chhute hi taaro se tapak jati thi..

    Mujhko ye fikr ke bijli ka current
    chu gaya nangi kisi taar se toh..
    aag ke lag jane ka bhayas hoga.

    Usne kaagaz ki kai kashtiyaan paani me utaari.
    Aur ye keh ke baha di ke..samander me milenge…

    Mujhko ye fikr, ke is baar bhi sailab ka paani…
    Kud ke utrega kohsahr se jab..
    tod ke le jayega ye kachhe kinaare..

    Ouk me bharke wo barsaat ka paani…
    adhbhari jheelon ko tarsaati rahi..
    Wo bohut choti thi, kamsin thi,
    woh masoom bohut thi..
    Aabisharon ke tarannum pe
    kadam rakhti thi…
    aur goonjti thi..

    Aur main umr ke ifkaar me ghoom…
    tajurbe-humraah liye…,
    saath hi saath mein
    behta hua…chalta hua… behta gaya

    Chalo Phr Dhoond Lein Hum

    Chalo Phr Dhoond Lein Hum!

    Usi Masoom Bachpan Ko!

    Unhi Masoom Khushiyon Ko!

    Unhi Rangeen Lamhon Ko!

    Jaha Ghum Ka Pata Na Tha!

    …Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi!

    Jahan Bus Muskurahat Thi!

    Baharein Hi Baharein Thi!

    Chalo Phr Dhond Laein Hum!

    Usi Masoom Bachpan Ko!

    K Jab Sawan Barasta Tha!

    To Us Kaghaz Ki Kashti Ko!

    Bana’na Aur Duba Dena!

    Boht Acha Sa Lgta Tha!

    Aur Is Duniya Ka Hr Chehra!

    Boht Sacha Sa Lagta Tha!

    Chalo Phir Dhoond Layen Hum Usi Masoom Bachpan Ko

    Hum zaat k auraq pe bikhri hui shab hain

    Hum zaat k auraq pe bikhri hui shab hain.
    Meyar elehda hein, par insan to sub hain.

    Asaib zada hai tere honto ki halawat.
    Afsurda-e-khatir tere lehje ke sbab hain.

    Dolat k trazu main bhi Imaan likha hay.
    Hum sahib-e-kirdar hain, Parwarda-e-Rub hain.

    Deroz k chehre ki ibadat bhi zara padh.
    Maimaar hain ainda ke, Qatil tere kab hain.

    Hum dono Mohabbat k siwa janty thay kya.
    Esy to na thay Dost! k jis hal main ab hain.

    Wo husan ka paikar hay, k Asaab ka Qatil.
    Aankhian kisi Aahu ki hain, Yaqoot say lub hain.

    Jismoo k Zakhyare ka sumandar hai,magar hum.
    Ik Chashm-e-Sitam pesha se Ikhlas Talab hain

    Tumhein jo besabab mujh se khafa hone ki aadat hai

    Tumhein jo besabab mujh se khafa hone ki aadat hai,

    Ye aagaz-e-judai hai k andaz-e-mohabbat hai,

    Wafa k rung mai dekho jafa achhi nahi hoti,

    Kisi se pyar ma itni ana achi nahi hoti,

    Faqat kehnae ki batein hain,
    nibhata kon hai kisko?

    Chalo ab daikh letein hain,
    Manata kon hai kis ko

    Kab tak raho gey aakhir yun door door hum sey

    Kab tak raho gey aakhir yun door door hum sey!
    milna parrey ga aakhir ik din zaroor hum sey

    daaman bachaaney waaley ye be’rukhi hey kesi!
    keh do agar huwa hey koi qasoor hum sey

    hum chorr dein ge tum sey yun baat cheet karna
    tum poochtey phiro ge apna qasoor hum sey

    hum cheen lein ge tum sey ye shaan-e-be’niyazi
    tum maantey phiro ge apna garoor hum sey

    Roshan howa hai chand jaisay noor-e-aaftab say



    Roshan howa hai chand jaisay noor-e-aaftab say
    Meray dil ko mili roshni kisi bakhabar kay jawab say

    meray hamdam mujhay roak na,safar say iss rah kay
    mujhay seekhna hay bohat kuch,abhi zindagi ki kitab say

    main bhalla kiyoon hairaan hoon us husn ki ada dekh kar
    kay mehaknay ka hay raaz kiya,pocha kisi nay gulab say

    lauta phir thak har kay,aakhir usi kay dar pay main
    bas waheen mujhay panah mili,khahishoon kay sarab say

    tu khuli jab woh haqeeqatain,meri rooh yeh pukaar uthi
    kathin na ho koi lamha bhi shaid aagahi kay azab say

    kash ko bhi milay kabhi wohi aarzoo,woh justujoo
    kay jo motyoon ko dhoond lay,kahin door tah-e-aab say

    amar ker lo wo sab lamhey


    yohi tanha tanha na khaak ura meri jaan meray kareeb aa

    yohi tanha tanha na khaak ura meri jaan meray kareeb aa
    main bhi khasta dil ho teri tarha meri maan meray kareeb a’a

    mai samnadroo’n ki hawa nahi kay tujh ko dekhaye na day sakoo’n
    koi bhola bisra khyaal ho na gumaa’n meray kareeb a’aa

    na chupa kay zakhm-e-wafa hai kya, teri arzoo’n ki khata hai kya
    teri chara ghar na ye zindagi na jaha’n meray kareeb a’aa

    tujhay asay wasoo’n ki dosti nay bohat khrab-o-khajal kya
    kisi jhoot ka ye naqaab rukh pay na taan meray kareeb a’aa

    jo nikal sakay to nikal lay koi waqt apnay liye kabhi
    meray pass beth kar ro to lay kisi aa’n meray kareeb a’aa

    na maaklma ho na guftago faqat itna ho kay na mai na tu
    milay sirf apnay jalay huway dil-o-jaan meray qareeb a’aa

    mujhey roz-o-shab ki kitab mein

    mujhey roz-o-shab ki kitab mein
    koi aisa haraf na mil saka
    jise misl-e-gul ka khitaab dun
    jise chandni ki si taab dun
    jise dhoond ker,jise khoj kar
    rukh-e-asmaan pe saja bhi dun
    mere khoon-e-dil ki nigarishain
    meri ruh tak k fishaar bhi
    yahan ilm-o-fan ki dukaan per
    barre saste damon se bik gaye
    mujhe torr kar,mujhe phorr kar
    mere doston ne jala dia
    rah-e-zindagi k ghubar main
    meri rakh tak ko urra dia
    mujhe phir b koi gilla nhi
    jo mila nhi,so mila nhi

    Wo Ajnabi Ajnabi Sey Chehray

    Wo Ajnabi Ajnabi Sey Chehray Wo Khuwab Khai’may Rawaan Dawaan Sey…!!
    Basay Howey Hain Abhi Nazar Main,Sabhi Manazar Dho’wan Dho’wan Sey..!!

    Yeh Aks-e-Dagh-e-Shikast-e-Pay’maan,Wo Rung-e-Zakhm-e-Khulos-e-Yaraan..!!
    Main Ghum Gusaaron Mein Soochta Hoon, K Baat Chai’Roon Kahan Kahan Sey..!!

    Ye Sungrai’zay Adawtoon K,Wo Aab’Geenay Sakha’Watoon Key………!!!
    Dil-e-Musaafir Qabool kar Ley, Mila Hai Jo Kuch Jahaan Jahaan Sey……!!!!

    Bicharnay Wala Bicharr Chala Tha Toa Nisbtain Bhi Ganwa K Jata………!!!
    Teray Liye Shehr Bhar Sey Ab Bhi Main Zakhm Kha’on Zubaan Zubaan Sey..!!

    Meri Mohabbat K Weh’moon Sey Paray Tha Tera Wajood Warnaa…………!!
    Jahan Jahan Tera Aks Thera, Main Ho K Aaya Wahaan Wahaan Sey……!!!

    Tu Humsafar Hai Na Hum’naffas Hai,Kisay Khabar Hai K Tu Kidhar Hai……….??
    Main Dasta’khen Dey K Pooch Baitha Makeen Makeen Sey Makaan makaan Sey..!!

    Abhi MoOhabbat Ka Ism-e-Aazam Laboon Pey Rehnay dey Jaan-e-Mohsin…..!!!
    Abhi Hai Chahat Naii Naii Sii, Abhi Hain Jazbay Jawaan Jawaan Sey………!!!!

    Main Guzri Raaton Ko Yaad Kar K

    Main Guzri Raaton Ko Yaad Kar K
    Woh Khud Se Teri Hi Baat Kar K
    Main Sham-E-Manzar Ko Dekhta Hon
    Dino Ko Apne Kharab Kar K

    Hove Juda Tu Baat Kiya Hai
    Main Sochta Hon Ye Yaad Kiya Hai
    Bhuja Raha Hon Main Piyaas Apni
    Ankho Ko Apni Seraab Kar K

    Tumhian Tha Jana Tu Maine Samjha
    K Dekho Kitna Main Na Samjh Tha
    Jo Mil Na Paya Jawab Mujhko
    Gaye Ho Tum Woh Sawal Ban K

    Tumhain Hi Her Pal Sochne Se
    Hoi Hai Mujhko Maharart Hasill
    K Teri Yaadain Mili Hain Mujhko
    Haseen Sa Ek Inaam Ban K

    mere junon ka nateeja zaroor niklay ga

    mere junon ka nateeja zaroor niklay ga
    issi siyaah samandar se noor niklay ga

    gira diya hai tau sahil pe intezar na kar
    agar wo doob gaya hai tau door niklay ga

    ussi ka shehar wohi mud’dai, wohi munsaf
    hamain yaqeen tha hamara qasoor niklay ga

    yaqeen na aaye tau ik baar pooch ker dekho
    jo hans raha hai wo zakhmon se choor niklay ga

    roodad-e-qafas yaad na andaz-e-fughan yaad

    roodad-e-qafas yaad na andaz-e-fughan yaad
    jo beet gai, beet gai, ab wo kahan yaad

    tum bhool gaye hum ko to kaya is main ta’ujab
    iss daur main karta hai kisay, kaun kahan yaad

    kafi thi tabahi ke liye gardish-e-dauran
    tum aisay main kiyun aa gaye ho jaan-e-jahan yaad


    apnay se raqabat ka ye alam he ke tauba
    hum bhool gaye khud ko, wo aaye hain jahan yaad

    maazi ke dareechay se kabhi jhank ke dekho
    shayed tumhain aa jaye mera naam-o-nishan yaad

    wafa hai zaat aurat ki

    Wo Aksar MujhSe Kehti Thi…
    “WAFA HAI ZAAT AURAT KI
    Magar Jo Mard Hote Hain
    Bohat Be-Dard Hote Hain
    Kisi Bhanwre Ki Soorat Gul Ki Khushbu Loot Lete Hain
    Suno Tum Ko Qasam Meri !
    Riwaayat Tor Dena Tum
    Na Tanha Chhor Dena Tum
    Na Ye Dil Tor Ke Jaana…”
    Magar Phir Yun Hua Hamdam !
    Mujhe Anjaan Raste Par Akela Chhor Kar UsNe
    Mera Di…l Tor Kar UsNe Muhabbat Chhor Di UsNe
    “WAFA HAI ZAAT AURAT KI”
    Riwaayat Tor Di Usne

    ye chubhan akaile pun kiye lagan udaas shab se

    ye chubhan akaile pun kiye lagan udaas shab se
    mai hawa se lar raha hon, tujhay kaya bataon kub se

    ye sehar ki saazishain theen, ke ye inteqaam-e-shab tha
    mujhay zindagi ka suraj na bacha saka ghazab se

    tery naam se shafa ho koi zakhm wo ataa kar
    mere naama ber, milay tau usay kehna ye adab se

    wo jawan ruton ki shaamain, kahan kho gai hain Sagar
    main to bujh ke reh gaya hoon, wo bichar gaya hai jub se

    Bayshaq Na Mere Saath Safar Ikhtiyaar Kar



    Bayshaq Na Mere Saath Safar Ikhtiyaar Kar
    Ae Mere Bad-Gumaan, Mera Aetbaar Kar

    Woh Khud Tou Titliyoun Ko Liye Ghoomta Raha
    Aur Mujh Ko Khat Mein Likhta Raha, Intezaar Kar

    Ab Unn Kay Qafilay Tou Kahien Dour Ja Chukey
    Jin Ki Talab Mein Aaye Thay Sehra Guzaar Kar

    Mein Ney Tou Tere Hijar Ka Dukh Jhail Hi Liya
    Ab Tu Bhi Khud Ko Waqf-e-Raah-e-Intezaar Kar

    Kab Ho Saki Hai Inn Ki Samandar Se Doosti
    Mitti Kay Inn Gharondoun Pe Kam Inhesaar Kar

    Fursat Miley Tou Dekh Mere Dil Kay Aainey
    Aankhoun Se Apney Kaaghazi Parday Utaar Kar

    Lahoo Par Karzz Banti Ja Rahi Hai


    Lahoo Par Karzz Banti Ja Rahi Hai
    Muhabbat Farzz Banti Ja Rahi Hai....!!

    Sabhi Jazbay Badalte Ja Rahe Hain

    Sabhi Jazbay Badalte Ja Rahe Hain
    K Jaisay Khuwab Marte Ja Rahe Hain

    Kuch Din K Liya Dil K Makee'noon Ko
    Nazar Andaz Karte Ja Rahe Hain

    Jo Dil K Hall Hai Dil Janta Hai
    Bazahir To Sambhalte Ja Rahe Hain

    Chaly To Hain Tumhare Shair Say Hum
    Kaf'fay'Afsos Malte Ja Rahe Hain

    Kabi Jin Main Gharor'rey'Tazgi Tha
    Wo Khad'do'khal Ab Dhalte Ja Rahe Hain..!!

    Muhabbat Say Reyhaa Hona Zarori Hogaya Hai



    Muhabbat Say Reyhaa Hona Zarori Hogaya Hai
    Mera Tujh Say Judaa Honaa Zarori Hogaya Hai

    Wafa K Tajurbay Kartey Hoyee To Umar Guzri
    Zara Saa Bewafa Hona Zarori Hogaya Hai

    Meri Awaz Tanhayee Main Marti Ja Rahi Hai
    Kisi Ka Ham'nawa Hona Zarori Hogaya Hai

    Azab'bay'zulma'tey'Shab Hai K Ab Apne Lahoo Par
    Koi Hur'fay'duaa Hona Zarori Hogaya Hai

    Kahan Taak Hum In Bhujal Fazaoon Main Rahain Gay
    Koi Ak Fais'laa Hona Zarori Hogaya Hai

    Bhanwar Main Hai Kahee Barsoon Say Apni Kash'teye'jan
    Kisi Ka Na'Khuda Hona Zarori Hogaya Hai

    Yahan Charoon Taraf Hee Khuf Bharta Ja Raha Hai
    Sukhaan Na'Ashnaa Hona Zarori Hogaya Hai

    Diloon Ko Barff Karti Raye'gani Say Nikal Ayee

    Diloon Ko Barff Karti Raye'gani Say Nikal Ayee
    Koi Kaisay Muhabbat Ki Khani Say Nikal Ayee

    Usay Bas Ak Paal Ko Dekhna Tha Bat Karni Thi
    Magar Wo Asskh Sada Jo Rawani Say Nikal Ayee

    Yaqeen Tha Umar Lag Jayee'gi Is Hayraani'yee'Gham Main
    Magar Hum Sham'may'Weshatt Ki Geerani Say Nikal Ayee

    Bohut Majboor Rehtay Thay Bohut Masror Rehtay Thay
    Tumhare Sehar'rya'Gham Ki Kejh Beyani Say Nikal Ayee

    Kahee To Silseela Tehray Badan Ki Is Musafat Ka
    Kabi To Be'ghari Ki Meharbani Say Nikal Ayee

    Kahee Tarekh Shab Main Yaad K Jugnoo Camaktay Hain
    K Jaisay Seep Koi Gehray Pani Say Nikal Ayee.....!!

    Hurffay Sada Nahi Badla Kartey

    Hurffay Sada Nahi Badla Kartey
    Daikh! Lehja Nahi Badla Kartey

    Hum Say Badla Na Gaya Rang'gay'Wafa
    Loog Kya Kya Nahi Badla Kartey

    Ishiq Waloon K Gali Kochoon Main
    Geet Lehja Nahi Badla Kartey

    Khud Say Jitne Bhi Pa'shay'man Sahee
    Dil Ka Rishta Nahi Badla Kartey

    Khuf Kaisa Bhi Ho Tufanoon Ka
    Apna Darya Nahi Badla Kartey

    Kohi Rott Ho Ya Mere De'daye'dil
    Apna Sehraa Nahi Badla Kartey.!

    Fiza Main Phir Say Koi Roshni Ka Aks Jaga Hai

    Fiza Main Phir Say Koi Roshni Ka Aks Jaga Hai
    Mera Hum'Raqs Jaga Hai

    Jo Mere Dil K Rukh'saroon Ko Chu K
    Khusboon K Geet Gaa'ta Hai
    To Yoon Mehsos Hota Hai

    K Jaisay Jugnuooon Ne Titliyoon Say Pe'rah'han Badlay
    K Jaisay Fakh'taoon Ne Udasi K Cha'lun Badlay

    K Phir Far'te'Junoon Main Zindagi Ki Sans Thaam Jayee
    Muhabbaat Ki Hawee'Lee Say
    Azab'Bay'Sham'May'Gham Jayee.....!!

    Uljhan

    Uljhan...!


    Mujhai Khuof hai
    Wo Nibha K Kisi Marhalay Pe


    Ya Aa K Keh Day K
    K
    Ab Nahi

    Mere Dil Ko Teri Talab Nahi..!

    Wo Aansu Humare Akhri Aansu Thay

    Wo Aansu Humare
    Akhri Aansu Thay
    Jo Humne Gale Milkar
    Bahaye TheNa Jane Waqt Un Aansuon
    Se Kis Taur Pesh Aya
    Magar Meri Fareb-E-Waqt ki Behki HuiAankhon Ne
    Uske Baad Bhi Aansu Bahaye Hai
    Mere Dil Ne Bahut Se Dukh Rachaaye Hai
    Magar Yun Hai KeMah-O-Saal Ki Is Rayeigaani Mein
    Meri Aankhein
    Gale Milte Hue Rishton Ki Furqat Ke Wo Aansu
    Shayad
    Phir Na Ro Paayein!!!!
    0 comments  



    ....Veeraan Wajood Main Chalna Para Humain....


    Veeraan Wajood Main Chalna Para Humain,
    Apne Lahu Ki Aag Main Jalna Para Humain,

    Manzil Boht Hi Door Thi Raste The AJNABI,
    Taron K Saath Saath Nikalna Para Humain,

    Saye Ki Missal Aaye The Us Ki Galli Me Hum,
    Dhalne Lagi Jo Sham To Dhalna Para Humain,

    Har Charhte Sooraj Ki Salaami Na De Sake,
    So Dopeher Ki Dhoop Main Jalna Para Humain,
    NAVEED. Kisi Taraf Bhi Sahara Na Tha Koi,
    Jab Bhi Gire To Khud Hi Sambhalna Para Hamen.